jiske armaano ko palko par sajaya karti thi
ek masoom si ladki thi
mohabbat ke khwaab dekha karti thi
Ek chehra banakar khayalon mein
phir us chehre ko bheed mein dhoonda karti thi
kaisi paagal ladki thi
ek khayal ko dhunda karti thi
Aksar banati thi ret ke mehal saahilon par
phir un mehalon mein ghar apna basaya karti thi
kaisi naadan ladki thi
saahil ki mitti se ghar banaya karti thi
Kahi baar dekha use phoolon se baatein karte
kuch keh kar unke kaano mein
khud hi sharmaaya karti thi
kaisi ek ladki thi
phoolon se bhi sharmaaya karti thi
Likh kar hatheli par koi naam hamesha
phir us naam ko mitaya karti thi
shayad naasamajh hi thi
dil par likha tha jo
use haathon se mitaya karti thi
Jaane kahan kho gayi woh
ab to aksar aaine mein dhunda karti hoon
woh ladki jo aaina dekhte hi
bewajaah muskuraya karti thi
banakar ajeeb se chehre
sabko hansaya karti thi
bari ajeeb ladki thi
har kisi ko sataya karti thi
Mohabbat ne hi tor diye
uske sab armaan
jinhe woh bare pyaar se
palkon pe sajaya karti thi
shayad duniya bhi bhool jaye usse
par waqt na bhula payeega
ke ek masoom si ladki thi
khwaabon ke seher mein raha karti thi...!!!
Anjli, Posté le mercredi 14 janvier 2009 05:04
Salaaammmmm
khub khub khub
buhat hi umda