Zindagi waqt-bewaqt karwatein badalti rehti hai,
Har roz naya kuch likhti rehti hai.
Kabhi khushi ke pal deti hai,
Toh kabhi ghamon ke khazaane bhet karti hai.
Kuch naye rishton me hume baandhti hai,
Phir khud hi oon rishton me judaai karwati hai.
Har mod par sadme naye ye deti hai,
Har pal imtehaan humare sabar ka leti rehti hai.
Kabhi apni si lagti hai ye,
Toh kabhi ajnabee sa vyowahaar karti hai.
Koi nahi jaan paya kabhi ki,
Zindagi harpal aakhir kehna kya chahti hai.
Kabhi kabhi darr sa lagne lagta hai iss zindagi se,
Kyun ki suna hai agar ye rishton me jeena sikhati hai,
Toh kabhi oonhi rishton ko badi aasanise tod kar
Hume jeetiji maar deti hai.....Bas yunhi tadapne ke liye phir chhor deti hai.
Zindagi waqt-bewaqt karwatein badalti rehti hai,
Har roz naya kuch likhti rehti hai.....
dostii, Posté le lundi 30 novembre 2009 07:57
yeh zindagui hai