Dunya mein khamoshi se guzar jayein ham to kya
Hasti hi apni kya hai zamane ke samne
ik khuwab hai jahan mein bikhar jayein ham to kya
Ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham aa gayi hai laut ke ghar jayein ham to kya
Dil ki khalish to saath rahegi tamam umr
Dariya-e-gam ke paar utar jayein ham to kya
Zinda rahen to kya hai jo mar jayein ham to kya
Dunya main khamoshi se guzar jayein ham to kya...
Partage